Tuesday 4 February 2014

Kabira Lyrics - Yeh Jawani Hai Deewani



Kabira Lyrics - Yeh Jawani Hai Deewani

Movie: Yeh Jawaani Hai Deewani
Music: Pritam Chakraborty
Lyrics: Kumaar
Singers: Rekha Bharadwaj, Tochi Raina



Kaisi teri khudgarzi
Na dhoop chune na chhanv
Kaise teri khudgarzi
Kisi thor tike na panv (2 times)

Ban liya apna paigambar
Tar liya sat samandar
Phir bhi sookha man ke andar
Kyoon rahega….

Re Kabira maan ja
Re fakeera, maan ja
Aaja tujhko pukaarein
Teri parchhaiyaan
Re Kabira maan ja
Re fakeera, maan ja
Aisa tu hai mere mohi kaisa
Harjaaiyaa..

Tooti charpayi mohi
Thandi puravayi rasta dekhe
Doodhon ki malayi mohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe

Kaisi teri khudgarzi
Lab naam tera mera mishri
Kaisi teri khudgarzi
Tujhe preet purani bisri

Mast maula, mast kalander
Tu hawa ka ek bawandar
Bujh ke yoon andar hi andar
Kyoon reh gaya…..

Re Kabira maan ja
Re fakeera, maan ja
Aaja tujhko pukaarein
Teri parchhaiyaan
Re Kabira maan ja
Re fakeera, maan ja
Aisa tu hai mere mohi kaisa
Harjaaiyaa….

Balam Pichkari Lyrics- Yeh Jawaani Hai Deewani



Balam Pichkari  Lyrics- Yeh Jawaani Hai Deewani


Movie: Yeh Jawaani Hai Deewani
Music: Pritam Chakraborty

itna maza kyoon aa raha hai
Toone hawa mein bhaang milaaya
Dugna nasha kyoon ho raha hai
Aankhon se meetha toone khilaya
O teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
Manchali chaal kaise nawabi ho gayi

To Balam Pichkaari joh toone mujhe maari
To seedhi saadhi chhori sharaabi ho gayi
Haan jeans pehan ke jo toone mara thumka
To lattu padosan ki bhabhi ho gayi (2)

Teri kalai hai, hatho mein aayi hai
Maine maroda to lagti malayi hai

Mehanga padega ye chaska malayi ka
Upwas karne mein teri bhalaayi hai

Ho bindiya teri mehtabi ho gayi
Dil ke armaanon mein behisabi ho gayi

To Balam Pichkaari joh toone mujhe maari
To seedhi saadhi chhori sharaabi ho gayi
Haan jeans pehan ke jo toone mara thumka
To lattu padosan ki bhabhi ho gayi.. (2)

Ae kyoon no vacancy ki hothon pe gaali hai
Jabki tere dil ka kamra to khali hai

Mujhko pata hai re, kya chahta hai tu
boli bhajan teri, neeyat kawwali hai
Zulmi ye hazir jawabi ho gayi
Tu to har taale ki aaj chabhi ho gayi

To Balam Pichkaari joh toone mujhe maari
To seedhi saadhi chhori sharaabi ho gayi
Haan jeans pehan ke jo toone mara thumka
To lattu padosan ki bhabhi ho gayi (2)

Haan bole re zamaana, kharabi ho gayi
Haan bole re zamaana, kharabi ho gayi

Badtameez Dil -Lyrics Yeh Jawaani Hai Deewani



Badtameez Dil -Lyrics Yeh Jawaani Hai Deewani
Movie: Yeh Jawaani Hai Deewani
Music: Pritam Chakraborty
Singer: Benny Dayal
Lyricist: Amitabh Bhattacharya




Paan mein pudeena dekha
Naak ka nageena dekha
Chikni chameli dekhi
Chikna kameena dekha
Chaand ne cheater hoke cheat kiya to
Saare taare bole gilli-gilli akkha.…

Pa para para.. Pa para para
Pa para para.. Para ra para ra
Pa para para.. Pa para para
Pa para para.. Para ra para ra

Meri baat teri baat
Zyada baatein buri baat..
Thali mein katora leke
Aalu-bhat, puri-bhat
Mere peechhe kisi ne repeat kiya to saala
Maine tere muh pe mara mukka…..

Ispe bhoot koi chadhaa hai, thaihrna jaane naa
Ab to Kyaa buraa kyaa bhalaa hai, Fark pehchane naa
Zid pakad ke khada hai kambakht, chhodna jane naa

Badtameez Dil, badtameez dil, battameez dil maane naa..

Ye jahaal hai, sawaal hai, kamaal hai
Jaane naa, jaane naa..

Badtameez dil badtameez dil
Badtameez dil..
Maane naa..

Hawa mein hawana dekha
Dheemka falana dekha
Sing ka singada khake
Sher ka gurrana dekha
Poori duniya ka gol gol chakkar le ke
Maine duniya ko maara dhakka..

Aeee.. Bollywood Hollywood
Very very jolly good
Aee raai ke pahad pahad pe
Teen foota lilliput
Mere peechhe kisi ne repeat kiya to saala
Maine tere munh pe maara mukka

Ayyashi ke runway se khud ko
Modna jaane na
Kambal bewajah yeh sharam ka
Odhana jaane na
Zidd pakad ke khada hai kambakht
Chhodna jaane na...

Battameez dil, badtamiz dil
Badtameez dil.. ..
Maane na.. maane na... (2)

Dilli Wali Girlfriend Lyrics



Dilli Wali Girlfriend Lyrics
Movie: Yeh Jawaani Hai Deewani
Singer : Arijit Singh, Sunidhi Chauhan
Music: Pritam Chakroborty
Lyrics: Amitabh Bhattacharya

O what a look, what a grace
Tenu hi karaan main chase
What a naksh what a nain
Dil tera ho gaya fan
What a smile, what a style....
Kabhi soft, kabhi rude kitna tera attitude

Tere liye hi to signal tod-taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke
Ho tere liye hi to signal tod-taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke

Ho teri aankh da ishaara mujhe fraud lage
Tu to majnu aawara by God lage….
Ho kasmein waade kha ke
Apni pocket money bachaa ke
Aaya tere liye paise-vaise jod-jaad ke..
Ghar waalon ko bhi bye-shaay bol-baal ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke
Tere liye hi to signal tod-taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke..
Dilli wali girlfriend Lyrics on LyricsOff.com

Teri gali mein bhi aana start kar diya
Ek tere naam apna heart kar diya
Karne laga aankh matakka
To aashiq ban gaya pakka
Aaj abhi maine tera boycot kar diya
Teri saari harkat main to note karoon
Tujhe thaane mein le ja ke main report karoon..
Tu na kar aisi fight
Tera mood karoon main light
Tujhe scene mein dikha ke film golmaal ke
Naam tera hi likhaaya maine wedding card pe
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke
Tere liye hi to signal tod-taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke..

Tera ishq main dekhoon badtameez ho gaya
Bina baat ke hi mujhpe yeh freez ho gaya
Use kiya sau baari phir bhi keh na paaye yaari
Passion tere liye mera increase ho gaya
Tusi mere sath nache meri life lage
Mujhe future mera tere sang bright lage
Tujhse bhi zyadaa sona
Koi handsome munda hona
Le ke jaayega sonh dil kol-kaal ke oye...

O......
Tujhe le jaaoonga main to yahaan jhande gaad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke..
Chal jhutta.. mere liye signal tod-taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke
Ghar waalon ko bhi bye-shaay bol-baal ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke
Tere liye hi to signal tod-taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod-chhaad ke..

O what a look, what a grace
Tenu hi karaan main chase
What a naksh what a nain
Dil tera ho gaya fan
What a smile, what a style...
Kabhi soft, kabhi rude kitna tera attitude